Q.मन उदास होता है या आत्मा ?
Ans. आत्मा यानि कि स्वयं ब्रह्म का अंश किसी भी प्रकार के मानसिक विकार से ग्रसित होना आत्मा का स्वाभाव कैसे हो सकता है वह तो हमेशा मन का ही तो होता है मानसिक का अर्थ ही है - pertaining to mind-ऐसा कोई शब्द नहीं पढ़ा आत्मिक विकार -हमारी इन्द्रियों से जो भी input मन के अन्दर जाता है वह मन की भोगने की demand होती है
उदासी ख़ुशी, इर्ष्या,आदि मन के विकार होते हैं मन में हमारे द्वारा ग्रहण किये गए impression ओर उनके interpretation के अनुसार ही परिणाम होता है .
Yadi ham apnee indriyon se grahan kiye ja rahe prabhavon ke prati tatasth ho jayen to pratikriyavash hone wale vikar hamare mastishk ko contaminate nahin karenge. Man ko contaminate na hone dena he sabse badi sadhna hai. Phir chahe wah kisi bhi prakar se prapt kee jaye. Iseeliye, Patanjal yog sootr me, prarambh me hi kaha hai YOGAH CHITTA VRITTI NIRODHAH. Meaning by that, To stop the of mind (to react in good or bad manner) is YOG. See the whole Shastra has been presented by the RISHI in only three words.
Aatma tak ham iseeliye nahin pahunch pate kyonki Manroopi virus hamaree buddhi ko ayatt kar leta hai Aisa na ho, ATMA KA PAT TABHI KHULTA HAI JAB MASTISHK PAR VICHARON KE SABHI PRAKAR KE PRABHAVON SE VANCHIT RAHTE HAIN. Mansik Vikaron ka yah ghoonghat hee to hame hamaare hi swaroop kee pahchan karne se vanchit rakhta hai. Ham jist prakar bhojan pakate wakt koi vastu pai ya nahi uska ek ansh nikal kar yah sunishchit karte hain ke poori samagri kee kya sthiti hogi.
Yadi ham apne swaroop ka darshan karenge to yahi maniye ki wahi eeshwar ka darshan hoga, jo ek ansh ke roop me ham hain jise ham sab MAIN kahte hain. Main is Shareer ko nahi kahte bali yah speaker ke dwara prayukt hota hai jiska pratibimb chitta par padta hai aur budhi par. Dheere dheere man ko buddhi se niyantrit karte hue buddhi par bhi vijay pani hogi. Tabhi atma bhav me sthiti aa paati hai.
No comments:
Post a Comment